Mere sath khelti, mhuje Khilati,
Kabhi hasakar, kabhi daatkar,
Mhuje duniya ke sath chalna sikhaya,
Bandagi jisne sikhayi,
Uss maa ko kya pata toh mai teri bandagi me khoya hu,
Yeh dekh khuda kasmaakash me roya hai.
Har pital sona nai hota,
Har andhera raat ka nai hota,
Lohe se mhuje talvar banakar,
zimedari ki dhaal se sajakar,
Duniya jitkar bhi uss pita ke samne nazar hamesha jukai hai
Yeh dekh khuda kasmaakash me mhuje sahraya hai
Kabhi khilati, kabhi hasati,
Uski har muskan ansu me na ho
Yeh meri har kosis rehti,
Kehta hu uss behen se mai ye
Bhid jaunga usse khuda se main
Agar usne tuje sataya hai
Yeh dekh kar khuda kasmaakash me gamand hua hai
Har juth me, Har sach me,
Khelte, Haste, Gaate, Gumte har galiyo me
Breakup ke waqt bhi jisne hasaya hai
Unn yaaro ki unn bhaiyo ki yaari dekh
Khuda kasmaakash me muskuraya hai
Jungle ki aag me akela chodkar,
Ya sone ki khan ke liye tanhaa rakhkar,
Hawas se, Ya Shaano shokat ke liye,
Aisi isqhbaazi mhuje gawara nahi.
Jeewan sathi wo hai saccha
Jo har andhi se dubti kasti me bhi
Sath rehkar bachkar tairna sikhaya hai
Yeh dewangi dekh khuda kasmaakash me Isqh Nawaza hai
Maa ki pyaar se, pita ke fatkaar se,
Behen ke sath Mastiyo se,
Yaaro ki Yaari se, Bhai ki sath se,
Isqh ki Mijaz se bhi badhkar mera tiranga hai.
Iltaja hai khuda se yahi meri,
Mhuje agle janam chahe,
Janwar bana ya panchi bana,
Insaan bana ya messiah bana,
Jo bhi bana par mere bharat ki mitti se bana,
Yeh sunkar khuda kasmaakash me Mere desh ko Salaam kaha hai.
Comments
Post a Comment